halak-e-kashmakash-e-raegan bahut se hain ki zindagi hai to kar-e-ziyan bahut se hain main is hawa mein bahut der raushni dunga abhi diye sar-e-mehrab-e-jaan bahut se hain use bhi apne sanwarne ka kab khayal aaya jab ahl-e-ishq ko kar-e-jahan bahut se hain is ek baat pe hairan hai waqt ka munsif ki is mein kaun sa sach hai bayan bahut se hain ajab ye khitta-e-zinda-dilan hua aabaad ki ghar kahin bhi nahin aur makan bahut se hain