gham-e-ishq rah gaya hai gham-e-justuju mein dhal kar wo nazar se chhup gae hain meri zindagi badal kar teri guftugu ko naseh dil-e-gham-zada se jal kar abhi tak to sun raha tha magar ab sambhal sambhal kar na mila suragh-e-manzil kabhi umr bhar kisi ko nazar aa gai hai manzil kabhi do qadam hi chal kar gham-e-umr-e-mukhtasar se abhi be-khabar hain kaliyan na chaman mein phenk dena kisi phul ko masal kar hain kisi ke muntazir hum magar ai umid-e-mubham kahin waqt rah na jae yunhi karwaten badal kar mere dil ko ras aaya na jumud-o-ghair-fani mili rah-e-zindagani mujhe khar se nikal kar meri tez-gamiyon se nahin barq ko bhi nisbat kahin kho na jae duniya mere sath sath chal kar kabhi yak-ba-yak tawajjoh kabhi dafatan taghaful mujhe aazma raha hai koi rukh badal badal kar hain 'shakil' zindagi mein ye jo wusaten numayan inhin wusaton se paida koi aalam-e-ghazal kar