hamare aage raqib-e-siyah-ru kya hai hue jo dost tum apne to phir adu kya hai na jaane kitne hi aise hain ek tu kya hai bade-badon ki jahan mein ab aabru kya hai ragon mein sirf tamawwuj ki aarzu kya hai jo inqalab na lae to phir lahu kya hai bahaar aate hi wahshat agar le angdai to phir ye zakhm ke tanke hain kya rafu kya hai milen to puchhen ye arbab-e-husn jauhar se gharaz nahin hai to duniya-e-rang-o-bu kya hai haqiqaton pe abhi hain majaz ke parde jo ye haten to samajh mein phir aae to kya hai nigah-e-rahmat-e-haq mein ye aa gae warna hamare ashk-e-nadamat ki aabru kya hai jo hath dho chuka khud zindagi se ai 'shoala' namaz-e-ishq hai kya us ki phir wuzu kya hai