gham-e-jaanan ayan na ho jae zindagi raegan na ho jae tu nazar hi na aa khuda ke liye phir tamanna jawan na ho jae dil jo jalta hai teri furqat mein ye dhuan aasman na ho jae mit na jae ye chashni gham ki hum pe wo mehrban na ho jae guftugu mein ho ehtiyat tujhe raaz dil ka ayan na ho jae kar raha hai muqabla dushman ya khuda kaamran na ho jae kyon hasinon se milte ho 'nazi' wo kahin bad-guman na ho jae