gham-e-jigar-shikan o dard jaan-sitan dekha tumhaare ishq mein kya kya na mehrban dekha har ek majlis-e-khuban mein dil-sitan dekha na koi tujh sa par ai aafat-e-jahan dekha main wo asir hun jin ne ki dagh-e-yas siwa na sair-e-lala-sitan ki na gulsitan dekha jis aankh mein na samati thi bund aansu ki ab us ne gham mein tere sail-e-khun rawan dekha na kohkan ne wo dekha kabhi na majnun ne tumhaare ishq mein jo hum ne ai butan dekha hazar garche hain bimar teri aankhon ke par un mein koi bhala mujh sa na-tawan dekha main wo mariz hun pyare ki jin ne muddat se siwa-e-dard na aaram yak-zaman dekha kiya sawal main 'bedar' se ki ai mahjur kabhi bhi tu ne bhala wasl-e-dil-sitan dekha mufariqat hi mein kya umr khoi meri tarah ki ishq mein dil-e-gham-ghin na shadman dekha ye sun ke rone laga aur baad rone ke kaha na puchho jo kuchh main ne ai miyan dekha firaq-e-yar jafa-e-shamanat-e-ada gham-e-dil o sitam-e-pand-e-nasehan dekha na pai zarra bhi us ashk-e-garm ki tasir na ek dam asar-e-nala-o-fughan dekha jahan mein wasl hai sunta hun muddaton se wa-lek siwa-e-nam na us ka kahin nishan dekha