gaya hai jab se dikha jalwa wo pari-rukhsar na khwab dida-e-giryan mein hai na dil ko qarar hazar rang se phule chaman mein go gulzar par us baghair khush aati nahin mujhe ye bahaar ba-rang-e-lala-e-sar mai-kashi nahin tujh bin ki khun-e-dil se main har roz todta hun khumar gulon ke munh pe na ye rang-e-ab-o-tab rahe wo rashk-e-bagh kare gar udhar ko aa ke guzar ajab nahin ki baha dewe khana-e-mardum rahe gar ashk-fishan yunhi dida-e-khun-bar rihai kyunki ho ya-rab main is mein hairan hun ki ek dil hai mera tis pe dard-o-gham hai hazar kaha main us but-e-abru-kaman ki khidmat mein khadang-e-jabr ne tere kiya hai mujh ko nigar na rahm tere dil-e-sakht mein hai ghair-az-zulm na mere nala-e-jaan-soz mein asar ai yar na tab hijr ki rakhta hun ne umid-e-visal khuda hi jaane ki kya hoga us ka aakhir-kar har ek din mujhe yun sujhta hai ji tan se nikal hi jaega ham-rah-e-ah-e-atish-bar na tu mazar pe aawega ta-dam-e-mahshar rahegi dida-e-giryan ko hasrat-e-didar abas tu mujh ko daraata hai apne marne se hazar tujh se mere mar gae hain aashiq-e-zar ye sun ke kahne laga wo sitamgar-e-be-rahm meri bala se jo mar jaega tu ai 'bedar'