kakul ki tarah bakht bhi bal khae hue hai kyun aaj muqaddar mujhe uljhae hue hai zanjir-e-mehan panw mein pahnae hue hai ya jalwa-e-jaanan mujhe bahlae hue hai le jae mujhe su-e-chaman ab na bahaaran dil qismat-e-zindan ki qasam khae hue hai main band qafas mein hun magar fikr-e-nasheman sine mein jigar dard se barmae hue hai suljhegi na mashshatagi-e-aql-o-khirad se wo zulf-e-junun jis ko ki uljhae hue hai us ko bhi to mil jae zara husn ka sadqa daman talab-e-dar pe jo phailae hue hai ai 'nur' mujhe kuchh to bharosa hai zaban par kuchh bakht-e-saadat mujhe garmae hue hai