gham-e-wafa ko pas-e-pusht dalna hoga khatak raha hai jo kanta nikalna hoga faqir-e-ishq hun kuchh de ke talna hoga bas ek nigah ka sikka uchhaalna hoga sawal dosto azmat ka hai saron ka nahin hamein waqar ka parcham sambhaalna hoga ghazab ki pyas lagi samna sarab ka hai so reg-e-sahra se pani nikalna hoga use batao ki faqa hai aaj apna bhi magar faqir ko izzat se talna hoga ye intizar salamat rahe wo aaega magar hai shart ki dil ko sambhaalna hoga tumhaare dil ki zamin jal chuki magar 'aijaz' isi se nakhl-e-mohabbat nikalna hoga