khwahishen duniya ki bar-e-dosh-o-gardan ho gain rafta rafta manzil-e-uqba ki rahzan ho gain ye hawa kaisi chali is tangna-e-dahr mein shahr jangal ho gae aabaadiyan ban ho gain chal su-e-gor-e-gariban ai haris-e-mal-o-zar dekh kitni aarzuen nazr-e-madfan ho gain kaisi ranga-rang shaklen hongi ai josh-e-bahaar mit ke jo gulguna-e-rukhsar-e-gulshan ho gain khul nahin sakti kabhi kaifiyyat-e-bughz-o-hasad meri aahen parda-e-namus-e-dushman ho gain mere naghmon ne jo pai qalb-e-gulshan mein jagah shakh-e-gul par bulbulen bar-e-nasheman ho gain jab mere nale hue qadd-e-sanobar se buland bulbulen sakit sar-e-diwar-e-gulshan ho gain jama-e-hasti hua sad-chaak jab misl-e-sahr zinaten duniya ki garda-gard-e-daman ho gain