gham-e-zamana nahin ek azab hai saqi sharab la meri haalat kharab hai saqi shabab ke liye tauba azab hai saqi sharab la mujhe pas-e-shabab hai saqi utha piyala ki gulshan pe phir barasne lagi wo mai ki jis ka qadah mahtab hai saqi nikal parda-e-mina se dukhtar-e-raz ko ghata mein kis liye ye mahtab hai saqi tu waizon ki na sun mai-kashon ki khidmat kar gunah sawab ki khatir sawab hai saqi zamane-bhar ke ghamon ko hai dawat-e-gharra ki ek jam mein sab ka jawab hai saqi kalam jis ka hai mearaj 'hafiz'-o-'khayyam' yahi wo 'akhtar'-e-khana-kharab hai saqi