har ek mausam ki niyyat jaanti hain hawa ke dar se shakhen kanpti hain koi un ka bhi aa kar hath roke wo yaaden jo dilon ko katti hain mujhe hai bad-dua shayad kisi ki meri aankhon se ninden bhagti hain badan mein sarsaraati hai khamoshi ragon mein wahshaten si nachti hain ajab si kaifiyat hai bebasi ki main so jaun to aankhen jagti hain janazon par janaze uth rahe hain sabhi maon ki ruhen kanpti hain