gham-e-zindagi tere roz-o-shab se hai silsila nai dhup ka tujhe ho khabar mere dard se bhi hai rabta nai dhup ka meri manzilon ko khabar karo unhen raushni ki nawed ho mere dar pe aa ke bana gaya koi rasta nai dhup ka shab-e-intizar ajib thi meri raat aankhon mein kat gai sar-e-sham kaun ye de gaya mujhe indiya nai dhup ka ye jo husn-o-ishq ka raaz hai ye nigah-e-rab ka majaz hai koi muntazir ghani chhanw ka koi mubtala nai dhup ka koi chap uthi na koi sada koi khamushi se palat gaya mere ghar ke aage ruka to tha koi qafila nai dhup ka mere sahn mein jo darakht hai use taeron se bhi rabt hai wahin surmai se paron ke bich wo tahlaka nai dhup ka ye jo dali dali sanwar gai koi badli khul ke baras gai hai tabhi se dekho ajib sa naya tantana nai dhup ka chalo ghaza waqt ka chal gaya koi sham chehre pe mal gaya meri albumon mein kahin kahin koi zikr tha nai dhup ka mujhe pichhli shab ki khunuk rawi ne hi subh-dam ye shunid di main dhanak ki odh ke odhni karun nashta nai dhup ka mere baam-o-dil ko sajaegi ki ye kore khwab jalaegi chalo aaj 'sima' isi pe hum karen tasfiya nai dhup ka