aasman par hain sitare dard ki aaghosh mein aur zamin par gham hamare dard ki aaghosh mein sath suraj ke samundar mein safine ki tarah dubte hain sab nazare dard ki aaghosh mein raqs karte pyar ke shoalon pe hawi hai thakan chikh utthe hain sharare dard ki aaghosh mein sar patakti karwaten leti machalti bar-bar mauj hai dariya kinare dard ki aaghosh mein meri aankhon mein hain aansu is tarah thahre hue dal mein hon jaise shikare dard ki aaghosh mein ashk ki surat hain mahfuz aankh mein yaaden teri tairte manzar hain sare dard ki aaghosh mein ai mere pyare muhafiz tu ijazat de to umr kat dun tere sahaare dard ki aaghosh mein yun utarta hai mere ehsas mein lahje ka karb lafz hon jaise tumhaare dard ki aaghosh mein chhai hai chehre pe 'sima' is tarah pazhmurdagi jaise hon sare ke sare dard ki aaghosh mein