gham faraham hain magar un ki farawani nahin ai giran-jaani yahan koi bhi aasani nahin chaar-su ek barf-basta ahd-e-nam ka raj hai dhup mein hiddat nahin dariyaon mein pani nahin yaad hai kya kaam hai is shahr ka kya nam hai sab kuchh us jaisa hai lekin aasman dhani nahin zindagi ke dukh azal se zindagi ke sath hain log fani hain magar logon ke dukh fani nahin zindagi bhar sirf use puja magar ghar baith kar pasdaran-e-wafa ka kaam darbani nahin ek shajar ke koi do patte bhi ek jaise na the meri duniya mein kisi shai ka koi sani nahin