chalo duniya se milna chhod denge magar hum aaine se kya kahenge chalenge raushni hogi jahan tak phir is ke baad tujh se aa milenge yahan kuchh bastiyan thin ab se pahle mila koi to ye bhi puchh lenge ye saya kab talak saya rahega kahan tak ped suraj se ladenge charagh is tirgi mein kab jalega ye shahr aabaad hain par kab basenge jo husn-e-kashmakash hai dar-tah-e-ab subuk-saran-e-sahil se kahenge jinhen 'sajid' gham-e-aindagan hai surud-e-sham-e-rafta kya sunenge