gham-gusari ka hai aalam dur tak ghas par phaili hai shabnam dur tak ek hi jaisi faza hai chaar-su ek hi jaisa hai mausam dur tak zakhm apne dekh kar zahir hua bantta hai koi marham dur tak chhedti hai be-khudi ke silsile shab ke sannaton mein sargam dur tak apne mustaqbil se hote ba-khabar dekh pate kash jo hum dur tak sahil-o-dariya ko 'khanda' kya likhun dekhti hun koi sangam dur tak