gham har ek aankh ko chhalkae zaruri to nahin abr uthe aur baras jae zaruri to nahin barq sayyaad ke ghar par bhi to gir sakti hai aashiyanon pe hi lahrae zaruri to nahin rahbar rah musafir ko dikha deta hai wahi manzil pe pahunch jae zaruri to nahin nok-e-har-khar khatarnak to hoti hai magar sab ke daman se ulajh jae zaruri to nahin ghunche murjhate hain aur shakh se gir jate hain har kali phul hi ban jae zaruri to nahin