gham hun jo apne aap mein rista dikhai de dariya mein dub kar hi kinara dikhai de dekho jo ghaur se kabhi chehron ki wahshaten aabaadiyon mein bhi tumhein sahra dikhai de suraj ki raushni mein kabhi apni samt dekh tarikiyon mein kya tujhe saya dikhai de nazron mein bas gaya mere dil mein utar gaya surat se ajnabi ki jo apna dikhai de khwabon ke sahilon ki taraf dekhta hai kaun chadhta hua jo dard ka dariya dikhai de is shahr-e-be-charagh mein chehra wo chand sa aae jo apne samne kaisa dikhai de kohram sa hai sine ke andar macha hua khushiyon se bagh bagh ye chehra dikhai de kya qahr hai jo raunaq-e-mahfil tha ai 'nadim' wo shakhs shahar-bhar mein akela dikhai de