ba-wafai ki ada pane laga hun tujh mein ai jafa-dost ye kya dekh raha hun tujh mein tu ne ab tak mujhe kanton ke siwa kuchh na diya main to ek phul ki manind khila hun tujh mein tu wo dariya hai ki jis ka koi sahil hi nahin main safine ki tarah dub gaya hun tujh mein mera dawa hai ki tu ne bhi na dekhe honge aise jalwe ki jo main dekh chuka hun tujh mein tujh se bichhde to zamana hua lekin ab tak yaad aata hai ki kuchh bhul gaya hun tujh mein tere chehre se hatai nahin jatin nazren kya khabar der se kya dekh raha hun tujh mein pas itna ki teri sans se takraati hai sans dur itna ki tujhe dhundh raha hun tujh mein bewafa teri zaban par ye wafa ki baaten aisa lagta hai ki main bol raha hun tujh mein