gham ka pahad mom ke jaise pighal gaya ek aag le ke ashkon ki surat nikal gaya khush-fahmiyon ko soch ke main bhi machal gaya jaise khilauna dekh ke bachcha bahal gaya kal tak to khelta tha wo shoalon se aag se na jaane aaj kaise wo pani se jal gaya jhulse badan ko dekh ke katra raha hai wo jis ke main ghar ki aag bujhane mein jal gaya barish hui ghamon ki to aankhon ki sip mein aansu ka qatra palkon se girte sambhal gaya waise sabhi to zist se daman bacha liye wo kaun hai jo maut se bach kar nikal gaya taqdir so na jae kahin jagiye zara dekho taraqqiyon ka bhi suraj nikal gaya gar ho sake to aap bhi badlo miyan 'nisar' kahna pade na ye ki zamana badal gaya