fikr ke sare dhage tute zehn bhi ab mazur hua ab ke bahaar ye kaisi aai kaisa ye dastur hua kal-purzon ka ruh-e-rawan ye aur wo sarmae ki jonk lekin us ki nazron mein ye dharti ka nasur hua din ki safedi teri nazar mein raat ki kali chadar hai raat ka khuni andhiyara bhi teri nazar mein nur hua jab se dekha hai kheton mein main ne zalim dhup ka rup tab se teri zulf ka saya dur bahut hi dur hua zulm ko us ne zulm kaha hai jabr ko us ne jabr kaha yani 'ziya' ab 'ziya' nahin hai waqt ka wo mansur hua