gham ka suraj kabhi dhalta hi nahin aasman rang badalta hi nahin de diya jata hai qabza dil par dil to sine se nikalta hi nahin kahte hain unchi udanon wale jo gira phir wo sambhalta hi nahin hai khushamad hi se aamad lekin wo khushamad se pighalta hi nahin ganw bhar khauf-zada hai us se jo kabhi ghar se nikalta hi nahin kisi insan ka dil ho ki charagh be jalae kabhi jalta hi nahin khamushi hai to badi chiz magar kaam chup rahne se chalta hi nahin shairi kar ke bhi dekha hai 'shakil' dil mein kuchh hai jo nikalta hi nahin