tamam duniya mein dhund aaya main gum-shuda zindagi ki surat mili to mujh ko hayat-e-muztar magar mili ajnabi ki surat sabaq hai sikha hum ahl-e-dil ne ye ijz ki sar-bulandiyon se ki ek sajda hai kafi lekin ho bandagi bandagi ki surat ajib dastur-e-ashiqi hai na main hi main hun na tum hi tum ho na dosti dosti ki surat na dushmani dushmani ki surat khabar tasawwur khayal iman guman yaqin fikr ilm hikmat maqam-e-khud-agahi ke aage sawad-e-kam-agahi ki surat barahna-sar aabla-gazida shikasta-dil pairahan-darida maqam-e-sidra pe soch mein hun koi hai parda-dari ki surat mila sar-e-rah khud se jab main ajib hi apna haal dekha kisi ki aankhen kisi ka chehra nazar kisi ki kisi ki surat na puchh mujh se ki main kahan hun mujhe to kuchh bhi pata nahin hai ki apni surat mein aa rahi hai nazar mujhe har kisi ki surat ye sach hai duniya mein aur honge jamil-o-khush-ru hasin-o-dilbar pasand aai magar hamein to janab-e-man aap ki hi surat na jaane kab se khada tha 'sarwar' ek aastin-e-umid thame wo nikla khud se hi ghair-hazir hui ajab haziri ki surat