gham ka ye saliqa bhi rah gaya hai ab hum tak zar zar rote hain aankh mein nahin nam tak yaad jaane walon ki raushni khayalon ki dil ka sath deti hai ek manzil-e-gham tak tujh se mil ke bhi tera intizar rahta hai subh ru-e-khandan se sham zulf-e-barham tak ab nishan mile shayad manzil-e-tamanna ka tere hijr ke gham se aa gae tere gham tak ek dard-e-hasti ne umr bhar rifaqat ki warna sath deta hai kaun aakhiri dam tak