ab zaban khanjar-e-qatil ki sana karti hai hum wahi karte hain jo khalq-e-khuda karti hai phir koi raat bujha deti hai meri aanhken phir koi subh dariche mere wa karti hai ek paiman-e-wafa khak-basar hai sar-e-sham khema khali hua tanhai aza karti hai hu ka aalam hai giraftaron ki aabaadi mein hum to sunte the ki zanjir sada karti hai kaisi mitti hai ki daman se lipatti hi nahin kaisi man hai ki jo bachchon ko juda karti hai ab numudar ho is gard se ai naqa-sawar kab se basti tere milne ki dua karti hai