gham ke baadal dil-e-nashad pe aise chhae saya-e-gul mein bhi hamraaz na hansne pae yun tasawwur mein dabe panw teri yaad aai jis tarah sham ki banhon mein sitare aae waqt ki dhup mein hum saya-e-hasrat ban kar do ghadi ku-e-tamanna mein na chalne pae zindagi mauj-e-talatum ki tarah ruk na saki yun to har mod pe tufan hazaron aae is se manzil ka pata puchh rahi hai duniya jis ka manzil ke tasawwur se bhi ji ghabrae 'raaz' ehsas ke aangan mein hon tanha tanha ghup andhera hai magar sath hain gham ke sae