gham ke har ek rang se mujh ko shanasa kar gaya wo mera mohsin mujhe patthar se hira kar gaya ghurta tha main khala mein to saji thin mahfilen mera aankhon ka jhapakna mujh ko tanha kar gaya har taraf udne laga tarik sayon ka ghubar sham ka jhonka chamakta shahar maila kar gaya chat li kirnon ne mere jism ki sari mithas main samundar tha wo suraj mujh ko sahra kar gaya ek lamhe mein bhare bazar sone ho gae ek chehra sab purane zakhm taza kar gaya main usi ke rabte mein jis tarah malbus tha yun wo daman khinch kar mujh ko barahna kar gaya raat bhar hum raushni ki aas mein jage 'adim' aur din aaya to aankhon mein andhera kar gaya