gham hai wahin pa gham ka sahaara guzar gaya dariya thahar gaya hai kinara guzar gaya bas ye safar hayat ka itni si zindagi kyun itni jaldi rasta sara guzar gaya wo jis ki raushni se chamakna tha bakht ko kis aasman se wo sitara guzar gaya kya zikr us ghadi ka kadi thi ki sahl thi jo waqt jis tarah bhi guzara guzar gaya tafhim-e-dosti mein badi bhul ho gai phir dur se hi dost hamara guzar gaya kar ke yaqin phir se ki main mushkilon mein hun thahra nahin wo shakhs dobara guzar gaya ek waqt khush-nasib sa aaya to tha 'adim' maddham si ek sada mein pukara guzar gaya mujrim hua tha aankh jhapakne ka main 'adim' jo zehn mein basa tha nazara guzar gaya