gham ke hathon mere dil par jo saman guzra hai hadisa aisa zamane mein kahan guzra hai zindagi ka hai khulasa wahi ek lamha-e-shauq jo teri yaad mein ai jaan-e-jahan guzra hai haal-e-dil gham se ye hai jaise kisi sahra mein abhi ek qafila-e-nauha-garan guzra hai bazm-e-doshin ko karo yaad ki is ka har rind raunaq-e-bar-gah-e-pir-e-mughan guzra hai pa-ba-gul jo the wo aazurda nazar aate hain shayad is rah se wo sarw-e-rawan guzra hai nigrani-e-dil-o-dida hui hai dushwar koi jab se meri jaanib nigaran guzra hai haal-e-dil sun ke wo aazurda hain shayad un ko is hikayat pe shikayat ka guman guzra hai wo gul-afshani-e-guftar ka paikar 'salik' aaj kuche se tere ashk-fishan guzra hai