agarche shoala ayan nahin hai agarche lab par dhuan nahin hai nihan jise hum samajh rahe hain wo aag dil ki nihan nahin hai ye rah wo hai ki har musafir ke tajarbe jis mein mukhtalif hain wo kaun insan hai zindagi jis ki ek nai dastan nahin hai kidhar ko jaen kise pukaren muden ki aage hi badhte jaen ghubar ka bhi tere sahaara hamein to ai karwan nahin hai zara ye sahra ko jaane walon se koi puchhe kahan chale tum kahin hai koi zamin aisi jahan pe ye aasman nahin hai wo mehrban ho to waswasa ye ki mehrbani ye dafatan kyon wo sargiran hai to hai ye hasrat ki hae wo mehrban nahin hai ye dil ki paiham si be-qarari nazar ki harkat-e-iztirari aur us pe israr-e-parda-dari ki jaise wo raaz-dan nahin hai wahi hikayat dil-o-nazar ki wahi kahani hai chashm-e-tar ki 'raza' ye meri ghazal-sarai nai koi dastan nahin hai