gham ke hathon shukr-e-khuda hai ishq ka charcha aam nahin gali gali patthar padte hon hum aise badnam nahin wo bhi kya din the jin rozon be-fikri mein sote the ab kaisi uftad padi hai chain nahin aaram nahin dil ke ujadte hi aankhon ne haif ye aalam dekh liya jalwa sar-e-rah koi nahin hai koi ba-ru-e-baam nahin jis ke asar se be-khud ho kar apne tain hum ruswa hon mauj-e-mai-gul ke hathon mein aisa koi jam nahin dil ka rona dil ka khona lakh azab-e-alim sahi himmat haar ke baith hi jaen hum aise nakaam nahin