hamesha khun-e-shahidan ke rang se aabaad ye karbala-e-mualla ye basra o baghdad jahan ko phir se nawed-e-bahaar dete hain abu-gharib ki jailon ke kuchh sitam-ijad hayat-o-marg ke sab marhale tamam hue kafan lapet ke nikle hain harche-baad-abaad purani bastiyan sab khak-o-khun mein ghaltan hain karenge ahl-e-nazar taza bastiyan aabaad labon pe khair ke nare hain aur kuchh bhi nahin dilon mein jag raha hai zamir-e-ibn-e-ziyaad iraq khun-e-shahidan se surkh-ru hoga bamon ke dher hain launcher hain tesha-e-farhad pahunch gae hain hum aise dayar mein ki 'wahid' jahan gunah to lazim hai nekiyan barbaad