gham-khana-e-hasti mein hai mehman koi din aur kar le hamein taqdir pareshan koi din aur mar jaenge jab hum to bahut yaad karegi ji bhar ke sata le shab-e-hijran koi din aur turbat wo jagah hai ki jahan gham hai na hairat hairat-kada-e-gham mein hain hairan koi din aur yaron se gila hai na azizon se shikayat taqdir mein hai hasrat-o-hirman koi din aur pamal-e-khizan hone ko hain mast bahaaren hai sair-e-gul-o-husn-e-gulistan koi din aur hum sa na milega koi gham-dost jahan mein tadpa le gham-e-gardish-e-dauran koi din aur qabron ki jo raaten hain wo qabron mein katengi aabaad hain ye zinda shabistan koi din aur rangini-e-nuzhat pe na maghrur ho bulbul hai rang bahaar-e-chamanistan koi din aur aakhir ko wahi hum wahi zulmat-e-shab-e-gham hai nur-e-rukh-e-mah-e-darakhshan koi din aur aazad hon aalam se to aazad hun gham se duniya hai hamare liye zindan koi din aur hasti kabhi qudrat ka ek ehsan thi hum par ab hum pe hai qudrat ka ye ehsan koi din aur lanat thi gunahon ki nadamat mere haq mein hai shukr ki us se hain pasheman koi din aur shewan ko koi khuld-e-barin mein ye khabar de duniya mein ab 'akhtar' bhi hai mehman koi din aur