jaun kya munh le ke main wo bad-guman ho jaega rang ke udne se ishq us par ayan ho jaega aish-e-bazm-e-be-khudi josh-e-fughan ho jaega hum kahan honge jo raaz-e-gham ayan ho jaega dusra aalam bane to ho sake taskin-e-husn ab hai jitna ye to sarf-e-imtihan ho jaega ta-ajal pahunchaegi ye na-tawani hijr mein zoaf badhte badhte zor-e-na-tawan ho jaega meri khamoshi ko zalim jor-e-be-ja se na chhed warna zabt-e-dil teri zid se fughan ho jaega shauq se ghairon mein jae main na hunga bad-guman khu-e-bad se khud wo apna pasban ho jaega dil-nashin hai aalam-e-zauq-e-asiri ka khayal ab dil-e-sayyaad apna aashiyan ho jaega gham se mere ghar mein gunjaish nahin hai aish ki naghma-khwan bhi aaega to nauha-khwan ho jaega mausam-e-baran mein kyun hai dasht ka qasd ai junun aaj-kal to dasht apna hi makan ho jaega khubi-e-guftar se samjhega kaun us ka jawab hashr sara mahw-e-andaz-e-bayan ho jaega kya yaqin tha hum jo pahunchenge wahan ai josh-e-ashk wahm apna badh ke us ka pasban ho jaega kah sakega kuchh bhi ai 'raghib' na us khamosh se be-dahan ke samne tu be-zaban ho jaega