gham ki andheri rahon mein to tum bhi nahin kaam aao ho kyun be-kar karo ho hujjat aage baat badhao ho kyun tham tham kar qadam rakho ho kyun itna ghabrao ho raat ka sannata hai main hun tum kis se sharmao ho aao apne hath mein le kar hath hamara dekho to hum ne suna hai tum sab ki qismat ka haal batao ho pahle pahar jab aa na sake tum aakhir-e-shab ki fikr hi kya ab to dil hi sulag uttha hai ab kyun diya jalao ho ek dastur sahi duniya ka zakhmon par lafzon ka dher ai logo kuchh samjho bhi ho jo mujh ko samjhao ho sham nahin dhalti kisi surat raat nahin katti kisi taur ab to bahut dil ghabrae hai ab to bahut yaad aao ho hain ahbab bhi ek sarmaya lekin ye bhi yaad rahe utni hi aanch lagegi 'shaukat' jitna tez alaw ho