muqabil ek zamana aur saf-arai meri zamane se bhi kab ho kar rahi paspai meri qadam hairat-sarae ke jahan taskhir karte thahar jati kisi manzar pe jab binai meri kisi sazish mein lana muddaa tha doston ka so pahle ki gai thi hausla-afzai meri tamasha-gah se behtar kahin khalwat-nashini sahar-asar hai mere liye tanhai meri bahut chaha bahut roka pe sare band tute ki aankh us ko achanak dekh kar bhar aai meri muqayyad ho ke kab tak kaun rahta hai ki 'mehdi' gali-kuchon tak aakhir aa gai ruswai meri