gham ki dhup aur gham ke shajar bakhsh de mujh ko maqtal ki sab rahguzar bakhsh de phenk kar koi patthar na mayus ho dil ki shakhon mein itne samar bakhsh de sare chehre yahan aashna ban gae ajnabi shahr ka ab safar bakhsh de ab chatanon mein aabaadiyan dhal gain mujh ko tesha-gari ka hunar bakhsh de mud ke dekhun to patthar ka ban jaun main ek sada aisi bhi mo'atabar bakhsh de rut badalte rafiq-e-qalam ko mere ek mera e'tibar-e-nazar bakhsh de kaam aaen jo ghairon ke mere siwa in duaon mein meri asar bakhsh de pyas hi pyas hai jab muqaddar mera karbala ki mujhe dopahar bakhsh de