hawa-e-tund ke jhonke ko aazmaunga

hawa-e-tund ke jhonke ko aazmaunga
main ek diye se hazaron diye jalaunga

main shahr shahr sada par sada uthaunga
galim-posh-e-ghazal hun ghazal sunaunga

ye qist qist tabassum sulagte honton par
saja ke ab ke bhi main qatl-gah jaunga

asir-e-gumbad-e-tanhai itna yaad rakho
main bazgasht nahin hun ki laut aaunga

main dhup dhup chalunga ye dusron ke liye
sadak ke donon taraf ped hi lagaunga

bahut haqir hun lekin andheri raaton mein
main jugnuon ki tarah roz jagmagaunga

ye karb karb kahani ye dar dar safar
main ab ke laut ke aaun to phir sunaunga

mujhe khabar hai ki hain sanp in surakhon mein
magar dobara main in se dasa na jaunga

main lamha lamha sazaen to kat lunga magar
hisar-e-arz-e-sukhan se nikal na paunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close