gham ki is sil ko kabhi bhi na samajh paegi tu mere dil ko kabhi bhi na samajh paegi mujh ko taslim teri sari zehanat lekin mujh se jahil ko kabhi bhi na samajh paegi puchh le mujh se haqiqat tu wagarna apne aankh ke til ko kabhi bhi na samajh paegi bin mohabbat ke tu hansti hui in aankhon ki bhigi jhilmil ko kabhi bhi na samajh paegi zindagi khud bhi tujhe marna padega warna mere qatil ko kabhi bhi na samajh paegi