har ek ka dard usi aashufta-sar mein tanha tha wo ek shakhs jo sare nagar mein tanha tha wo aadmi bhi jise jaan-e-anjuman kahiye chala jab uth ke to sare safar mein tanha tha jo tir aaya gale mil ke dil se laut gaya wo apne fan mein main apne hunar mein tanha tha us ek diye se hue kis qadar diye raushan wo ek diya jo kabhi baam-o-dar mein tanha tha suna hai lut gaya kal raat raste mein kahin jo ek rah-guzri rahguzar mein tanha tha utha ye shor wahin se sadaon ka kyun-kar wo aadmi to suna apne ghar mein tanha tha har ek mein koi kami thi har ek mein tha koi aib dhula hua wahi bas aab-e-zar mein tanha tha na pa saka kabhi ta-umr lutf-e-tanhai umar jo sare jahan ki nazar mein tanha tha