gham ki sau bar choT khai hai

gham ki sau bar chot khai hai
zindagi phir bhi muskurai hai

aankh bhar aai dil pe chot lagi
jaane kya baat yaad aai hai

gul bhi sharmaen un se aise mein
kya hi andaz-e-dil-rubai hai

wo jo gulshan mein aae main samjha
mast o khandan bahaar aai hai

zahr-e-gham kha ke main to ji lunga
tum ne surat ye kya banai hai

daulat-e-ishq yun nahin pai
jaan de kar ye hath aai hai

panw aa kar junun ne tham liye
jis jagah aql dagmagai hai

bandh gaya hai tasawwur-e-jaanan
ek ajab be-khudi si chhai hai

sher kahte ho raat-din 'aqil'
kya tabiat ye tum ne pai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close