guzar jate hain jo nazren bacha kar be-KHabar ho kar

guzar jate hain jo nazren bacha kar be-khabar ho kar
wo kya darman karenge dard-e-dil ka chaaragar ho kar

nahin sayyaad ka shikwa yahi manzur-e-qudrat tha
qafas hi mein hamein rahna tha yun be-baal-o-par ho kar

zamane-bhar mein ho aae tumhaari did ki khatir
charagh-e-arzu ban kar tamanna-e-nazar ho kar

bura ho be-khudi ka hum rahe mahrum-e-nazzara
guzarne ko hazaron bar wo guzre idhar ho kar

muqaddar mein jo hota hai likha ho kar hi rahta hai
meri aahen palat aain falak se be-asar ho kar

kahan se kis tarah kis waqt khinch kar log aa pahunche
wahin lagte gae mele koi guzra jidhar ho kar

sukhan-danon ne lakhon sher kah dale magar 'aqil'
nahin wo sher jo utre na dil mein neshtar ho kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close