gham ko baham baham na kije gar gham hai to gham ka gham na kije yak nim-nigah hai so bhi kari kuchh is mein se to kam na kije go hum hain aashiq-e-wafadar par itna bhi sitam na kije be-faeda roiye kahan tak ab ji mein hai chashm nam na kije ghairon ke padhane ko mera wasf is taur se ye karam na kije go tegh-e-asil hain ye abru har dam itna bhi kham na kije gar jam-e-mai 'asar' lage hath phir khwahish-e-jam-e-jam na kije