gham ko dil ka qarar kar liya jae is khizan ko bahaar kar liya jae phir junun ko sawar kar liya jae khud ko phir tar tar kar liya jae zindagi ki kaman se nikle tir ko aar-par kar liya jae khud-kushi ko udhaar rakhte hue maut ka intizar kar liya jae tajrabon ko bhula ke chahte hain tujh pe phir e'tibar kar liya jae ek hi shakhs to jahan mein hai khud ko bhi gar shumar kar liya jae soch kar is jahan ke bare mein khud ko kyun sharmsar kar liya jae ab to lagta dushmanon ko bhi doston mein shumar kar liya jae ashk aankhon mein phir umad aae is nadi ko bhi par kar liya jae patthar auron pe ab nahin uthte khud ko hi sangsar kar liya jae sun ke apne zamir ki aawaz khud ko kyun sharmsar kar liya jae