thi yaad kis dayar ki jo aa ke yun rula gai

thi yaad kis dayar ki jo aa ke yun rula gai
bas ek pal mein jaise zindagi bhi dagmaga gai

guman tha ye ki dab gain wo hasraton ki bijliyan
ye kaun si nai chamak bujhe diye jala gai

girain shakh shakh se khizan ne phul pattiyan
ude jo bij har taraf to phir bahaar aa gai

khula nigah-e-yar ka jo mai-kada to yun laga
ki pyas ek umar ki bas ek nazar bujha gai

khuda-qasam main bach gaya khata ki tez dhaar se
junun ki ek ada thi jo mujhe yun aazma gai

ye kya hua ki ab tujhi se bad-guman main ho gaya
main sochta tha zindagi tu mujh ko ras aa gai

mili hai 'azim'-e-sukhan ye kaisi tirgi tujhe
tere khayal mein jo itni raushni badha gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close