gham ko parde mein masarrat ke chhupa deta hun main aansu aankhon mein jab aae muskura deta hun main zindagi ki rahaten kya zindagi tak bhi nisar yaad jab aate ho tum sab kuchh bhula deta hun main han isi chup mein jo be-mani hai auron ke liye kaam jis se hai use sab kuchh suna deta hun main rona aata tha jab apne haal par wo din gae ab to barbaadi pe apni muskura deta hun main aa gai ashkon mein lali hasraton ke khun ki dil ki jo haalat hai aankhon se dikha deta hun main husn ke daman pe aanch aane nahin deta kabhi apne dil mein shoala-e-gham ko daba deta hun main kaam kya zinda-dili ka mar chuka 'nawwab' dil maut ki nind aarzuon ko sula deta hun main