kabe ki aarzu hai na but-khana chahiye mai-khana chahiye dar-e-jaanana chahiye iman ke imtiyaz ka aaina kufr hai kabe ke muttasil hi sanam-khana chahiye wahshat hai aur ishq-e-junun-khez aur hai zanjir zulf ki pa-e-diwana chahiye yaksui-e-khayal hai aabaadiyon se dur diwangan-e-ishq ko virana chahiye tum jis jagah ho kyon na ho mera wahan guzar har anjuman mein shama ko parwana chahiye mai-khwar panw rakhne lage hain sanbhaal kar saqi phir un ko laghzish-e-mastana chahiye mai se gharaz na saghar-o-mina se wasta teri nashili aankh ka paimana chahiye saqi ke dast-e-faiz ne insan bana diya ai shaikh ada-e-sajda-e-shukrana chahiye wa bab-e-mai-kada bhi hai baada bhi jam bhi 'nawwab' sirf jurat-e-rindana chahiye