gham mein jo masarrat ke pahlu nikal aate hain hum lakh chhupate hain aansu nikal aate hain miad badhate hain wo qaid-e-mohabbat ki hum bach ke asiran-e-gesu nikal aate hain kya rahraw-e-hasti ne phir rah-e-talab kho di kyon shab ke andhere mein jugnu nikal aate hain jab bhi teri zulfon ka charcha kahin hota hai takhil ke goshe se ba-mu nikal aate hain kyon barbat-e-dil chheden zakhmon ke gulistan mein kya jaaniye kya guzre jadu nikal aate hain 'sabir' gham-e-hasti mein mayus na ho jaen har haal mein jine ke pahlu nikal aate hain