hum zikr-e-nau-bahaar karen ya nahin karen ek jabr ikhtiyar karen ya nahin karen khun-e-jigar charagh-e-wafa khana-e-umid ab un ka intizar karen ya nahin karen zanjir ko sanbhaal ke baithe hain der se diwangi ko pyar karen ya nahin karen kya jaane lut le koi aakar mata-e-gham haalat sazgar karen ya nahin karen aaya hai phir salam-e-mohabbat adab ke sath hum un pe eatibar karen ya nahin karen 'sabir' kisi ki bazm se kuchh wasta nahin zikr-e-wafa-shiar karen ya nahin karin