gham nahin hai chahe jitni tirgi qaem rahe

gham nahin hai chahe jitni tirgi qaem rahe
mujh pe bas teri nazar ki chandni qaem rahe

is liye odhe hue hun main khizaon ki rida
mere gulshan ki faza mein tazgi qaem rahe

ham-nashin itna bata de kya karun tere baghair
kis tarah sanson se aari zindagi qaem rahe

rang-e-ulfat ki baqa ke waste mere khuda
aashiqi qaem rahe aur dilbari qaem rahe

khaare pani ka samundar yun hua mujh ko ata
umr bhar honton pe mere tishnagi qaem rahe

jab harif-e-jaan hi dil ki dhadkanon mein aa base
ghair mumkin hai kisi se dosti qaem rahe

boe 'mina' raat ke kheton mein yun suraj ke bij
apni koshish hai jahan mein raushni qaem rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close